Question:
AutoCAD me units command ka use kaise karte hain?
Answer:
Autocad me kisi drawing ko
banaane ka sabse pahla step unit ko select karna hai ki ham is drawing ko
meter, millimeter, inch, inch & feet waigrah kis unit me banana chahte
hain. Kisi ek unit ko select karne ke baad hi drawing banana shuru kiya jata
hai.
Maan lijiye ki hum apni drawing ko millimeter
me banana chahte hain iske liye hum sabse pahle kisi ek drawing ko open kar
lenge aur uske baad keyboard se “UN” type karke space ya enter ko press
karenge, ye press karte hi hame ek naya window dikhayi dega jiska naam drawing
units hoga. Is window me hame length, angle insertion scale ke diye gaye options
me se apni jaroorat ke hisaab se select karna hoga, jaisa ki hame apni drawing
ko millimeter me banana hai isliye length ko decimal me chhod denge, aur angle
bhi hame degree me hi rakhana hai to isko bhi jaisa hai waise rahne denge ab
jaha par insertion option me inches likha hai waha par click karne par bahut
saare option aayenge jinme se ham millimeter ko select kar lenge.
Isake sath hi hum precision ko bhi badal
denge, agar hame dasmalaw ke baad do zero tak value chahiye to precision value
me 0.00 ko select kar lenge, iske baad ok par click kar denge, is tarah se
hamare drawing ki units ki settings ko apne jaroorat ke hisaab se set kiya jaa
sakta hai. (niche diye image ko dekhiye)
0 Comments