Header Ads Widget

Ticker

6/recent/ticker-posts

Autocad me line ko Millimeter se Meter me kaise badle?

Question: 

Autocad me line ko millimeter se meter me kaise badle?

Answer: 

Autocad me line ko millimeter se meter me scale command ko use karke badal sakte hai. Maan lijiye ki humaare paas ek line hai jiski dimension 2000mm aur hum ise meter me convert karna chahte hain to iske liye niche diye gaye step ko follow karna padega-

  • Sabse pahle line ko select kariye
  • Iske baad “SC” type kariye aur space ya enter key ko press kariye
  • Ab line ke ek base point ko select karye aur aur space ya enter key ko press kariye
  • Iske baad 1/1000 type karke space ya enter key ko press kariye
  • Iske baad humara line meter me convert ho jayega.

Note: 2000mm ki line ko meter me convert karne par line bahut chhoti ho jayegi aur display par ho sakta hai na dikhe, is problem ko fix karne ke liye apne keyboard se “Z” enter “E” enter press kariye.

Post a Comment

0 Comments