Question:
Autocad me SCALE aur Zoom Me Kya Antar Hai?
Answer:
Scale aur Zoom Ne antar-
- Autocad me scale command ki help se kisi object ya puri drawing ko permanent bada ya chhota kiya jaata hai jabki zoom command ki help se kisi object ya puri drawing ko temporary bada ya chhota kiya jaata hai.
- Scale ke liye do option hota hai pahla reference dusra factor ya to kisi object ko reference leke ke scale kiya jata hai ya kisi factor ko select karke scale kiya jata hai (Factor jaise 1:2, 1:0.5, 1:0.75) Jabki zoom me khas karke do option hote hai pahla zoom in aur dusra zoom out.
- Scale command se kisi drawing ke chota karne ke liye obeject ko select karke SC type karke enter key dabaate hain uske baad 1/0.75 ya 0.75 ke badle me koi bhi number jo ek se chota ho daal dete hain jabki zoom command se kisi object ko chota karne ke liye mouse se right click karke zoom out select kar lete hain uske baad scroll button se apni jarurt ke hisab se chota kiya jaa sakta hai.
- Scale command use karne se drawing ke dimension me permanent changing ho jaati hai jabki zoom command use karne se drawing ke dimension basic koi changing nahi hoti hai.
- Scale command se kisi drawing ke bada karne ke liye obeject ko select karke SC type karke enter key dabaate hain uske baad 1/1.25 ya 1.25 ke badle me koi bhi number jo ek se bada ho daal dete hain jabki zoom command se kisi object ko bada karne ke liye mouse se right click karke zoom in select kar lete hain uske baad scroll button se apni jarurt ke hisab se bada kiya jaa sakta hai.
0 Comments